Sunday, August 25, 2019

To serve humanity in urdu | How to serve humanity in urdu| Insaniyat ki khidmat | ham kese insaniyat ki khidmat kar sakte hain | Insaniyat ki faal o behbood ke kaam

To Serve Humanity in urdu | How to Serve Humanity in urdu | Insaniyat ki khidmat | ham kese insaniyat ki khidmat kar sakte hain | Insaniyat ki falah o behbood ke kaam

 kamyabi , izzat , dolat , shohrat ap hi ke liye he bas logo me bantna shuro kardo laut kar tmahare pas wapis aaiga ye mera wada he apse.jis bhi cheez ki taqseem tm karoge wo barh kar tmhare pas wapis aaiga bas imaan ko mazboot rakho 
 shuru karna tera kaam he or  use mukammal karna khuda ka kaam he 

Hyacinth, Flower, Violet, Purple Flower


Soldier, Military, Uniform, American

Kiya ap zindagi me khush haali , barkat , sehat e tandrusti , dolat , shohrat , izzat , kamiyabi , aajzi , khud-aetmaadi chahte hain to yaqeen janiye ye article sirf ap hi ke liye he
Sab se phle hame kuch definitions samajhni hngi  

What is the meant of serving in urdu | khidmat karne se kiya muraad he ?

sab se pehle hame ye samajhna hoga ke khidmat karne se kiya muraad he.Purane zamane me ham nani daadi ke haath pair dabane ko khidmat khte the lkn khidmat ke maayne bht vasee hain.agar me ap ko saada lafzon me bataon  to khidmat se muraad ye he kisi bhi insaan ki zaroorat ko pura karna. Misaal ke tor par kisi ko khane ki zaroorat he to ap use izzat ke sath khana khilain ye khidmat ki ak shakal he. kisi ko taleem ki zaroorat he to ap uski kitaab or fees ki zimmedari le sakte hain ye bhi khidmat ki ak shakal he.isi tarah kisi ko ak sahi mashware ki zaroorat he ap use sahi mashwara de kar khidmat kar sakte hain.kisi ko kapron ki zaroorat he , kisi ko chaat ki zaroorat he , kisi ko waqt ki zaroorat he , kisi ko umeed ki zaroorat he , kisi ko saath ki zaroorat he , kisi ko rozgaar ki zaroorat he , koi Quran seekhna chahta he , kisi ko paison ki zaroorat he.mukhtasar ye he ke logo ki zarooraton ko jan kar unhe pora karna khidmat he


Behtreen insaan aamal se pehchana jata heachi batain to dewaaron par bhi likhi hoti hain 

What is humanity in urdu | Insaniyat se kiya muraad he ? 

chalain aaye ab ham samajhte hain ke insaniyat se murad kiya he , insaniyat se muraad apki aesi quality he jo dosro ka bhala chahti he ,ALLAH  ki makhlooq se muhabbat karna , falah o behbood ke kaam karna.Har insan me insaniyat ho aesa mumkin nahi. lekin jis insaan me insaniyat he wo kisi nemat se kam nahi hai.qk ap khud jante hain hamare ird gird ke log hamare sath kitne pur khuloos hain. aj kal koi kisi ko aagee barhta hua bardasht nahi kar pata phr dosro ki khushi chahna unse muhabbat karna bht door ki baat he.lekin aese log bhi mojood hain jo ap jese hain jo dosro ka bhala chahte hain , dosro ki khushi , insaniyat ki khidmat karna jabhi to ap ye parh rahe hain.me apki bht shukur guzaar hoon.

Humanity is the quality of  being benevolent 
Hame jo sabak sab se zyada parhne ki zaroorat he wo insaniyat ka he


How to Serve Humanity in urdu | insaniyat ki khidmat kese ki jai? 

  1. ye matter nahi karta ke apke pas resources hain ya nahi ye matter karta he apke andar insaniyat ki khidmat ka kitna jazba he.
  2. ap ko pata hona chahiye ke ap insaniyat ki khidmat q karna chahte hain.
  3. ap ke pas agar dene ko kuch bhi nahi he to ap apna waqt he de sakte hain.Shelter homes , old age homes ,etc. ap waha visit karsakte hain or unhe umeed dila sakte hain unke gamo ko bant sakte hain unhe hosla dila sakte hain.
  4. ap kisi ko ak achi kitaab de sakte hain.
  5. ap kisi ko chand paiso se madad karsakte hain. zaroori nahi ke ap dolat mand hon ap ak 10 rupe bhi kisi zaroorat mand ko desakte hain.
  6. ap kisi ko sardiyon ke mosam me blanket de sakte hain.
  7. ap kisi ko shelter provide karsakte hain.
  8. ap kisi ko muft taleem de sakte hain.
  9. ap kisi ki fees or kitaab ki zimmedari le sakte hain.
  10. ap kisi ko ak waqt ka hi sahi khana de sakte hain.
  11. ap shadiyon par lakhon lutane se behtar he ke sunnat par amal kar ke fuzool kharche se bach kar bache hue paison se kisi zaroorat mand ki madad karsakte hain.
  12. ap kisi ka sahara ban sakte hain.
  13. ap kisi ko umeed dila sakte hain.
  14. ap kisi ko rozgar karne ka tareeqa bata sakte hain.
  15. ap kisi ko muft koi skill(maharat) sikha sakte hain .
  16. shadeed garmiyon me ap muft pani ka stall laga sakte hain.
  17. ap kisi ki medicines ( dawai ) ka kharcha utha sakte hain.
  18. ap kisi ke ilaaj ka kharcha utha sakte hain.
  19. ap kisi ke chehre par muskurahat la sakte hain.
  20. ap kisi ko phr se jeena sikha sakte hain jo zindagi se bilkul mayoos ho chuke ho.
  21. ap kisi ko Quran parhna sikha sakte hain.
  22. ap kisi ko salah desakte hain.
  23. ap kisi ke gam ko mehsoos karte hue use himmat dila sakte hain.
  24. ap aesi jaga bana sakte hain jaha zaroorat mando ko muft khana khilaya jaai.
  25. ap logo me ye jazba bedaar karsakte hain ke wo bhi insaniyat ki khidmat me barh charh kar  hissa lain.
  26. ap plants laga sakte hain.
  27. ap logo ki raah ke kanto ko raste se hata sakte hain.
  28. ap zaroorat ka saman dosron se share karsakte hain.
  29. ap kisi ko sahi raah dikha sakte hain
  30. ap kisi ke ilm me izaafa karsakte hain.
  31. ap aese logo se khareedari karsakte hain jinse kharedne me logo ki ana ka masla ho.
  32. ap logo ka bhala chahna shuru kardain.
  33. ap logo ki muskilon ka asan karna shuru kardain.
  34. ap logo ko burai se bachana shuru kardain.
  35. ap ke pas jo bhi he use bantna shuru kardain.
  36. ap logo ko value yani ahmiyat dena shuru kardain.
  37. ap logo ke dukhon ko mehsoos karna shuru nkardain.
  38. jistarh ap apni aulad ko zimmedari samajhte hain bin maa baap ke  bacho ko apni aulad ka darja dena shuru kardain.
  39. ap logo ke huqooq ke liye awaaz buland karsakte hain.
  40. ap logo ke huqooq imaandari se adaa karna shuru kardain.

Or bhi bht se tareeqe hain jin se aap insaniyat ki khidmat karsakte hain bas logo ki jaaiz zarorato ko pura karain ye insaniyat ki khidmat he.me apko salah dungi ke ap ise share kar ke apne liye or mere liye sadqa e jariya banain shayad ham me se hi koi in baton par amal karle in shaa Allah O Tala.


Agar mera ilm mujhe insan se muhabbat karna nahi seekhatato ak jaahil mujh se hazar darje behtar he


Please share with your family members , kids , siblings , relatives and friends. Share on your social groups.

ap se guzaarish he ke mere likhne ki mehnat ko  or apke parhne ke waqt ko zaya hone se bacha lijiye ise zyada se zyada share kijiye apne tamam friends ke sath , family ke sath , rishte daaron me , apne tamam groups me , kia pata ye apke liye sadqae jariya ban jai in shaa Allah



Please copy this link into your browser & visit  https://onlinelearningathome.blogspot.com


Thank You So Much


Ap ka shukriya

Marriage, Flower, Purple Flowers